tum jo mere haal se anjaan ho
tum jo mere haal se anjān ho
jaan lo tum hī to merī jaan ho
be-ḳhudī ne had pakaḌ lī hai kahīñ
un ke aane kā koī imkān ho
shaiḳh-jī vaa.iz bane dekhe jo kal
jaise nazroñ meñ koī shaitān ho
ishq aa kar raqs kartā hai yahīñ
dekh kar tum bhī yahī hairān ho
jis galī meñ hai mirī dīvāngī
vahshatoñ kā ab vahāñ elaan ho
is qalam se ab likho aisī ġhazal
jis se qaa.il hazrat-e-insān ho
ḳhud ko ḳhud se ḳhud hī ab ḳhālī karo
pheñk kar koī bhī jo sāmān ho
ishq kāmil kah gayā aise karo
zikr un kā saañs meñ har aan ho
aisā āshiq mujh ko tum lā do koī
neze par jis ne paḌhā qur.ān ho
tum jo mere haal se anjaan ho
jaan lo tum hi to meri jaan ho
be-KHudi ne had pakaD li hai kahin
un ke aane ka koi imkan ho
shaiKH-ji waiz bane dekhe jo kal
jaise nazron mein koi shaitan ho
ishq aa kar raqs karta hai yahin
dekh kar tum bhi yahi hairan ho
jis gali mein hai meri diwangi
wahshaton ka ab wahan elan ho
is qalam se ab likho aisi ghazal
jis se qail hazrat-e-insan ho
KHud ko KHud se KHud hi ab KHali karo
phenk kar koi bhi jo saman ho
ishq kaamil kah gaya aise karo
zikr un ka sans mein har aan ho
aisa aashiq mujh ko tum la do koi
neze par jis ne paDha quran ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.