tum kabhi meri tarah barbaad ho kar dekhna
tum kabhī merī tarah barbād ho kar dekhnā
maiñ ne jo ik umr dekhā us ko pal bhar dekhnā
aañkh kī ḳhāmoshiyoñ meñ kitne tūfāñ haiñ chhupe
ek mauj-e-yād bas aur phir vo manzar dekhnā
saath the to jazboñ meñ ehsās-e-shiddat kuchh na thā
vaqt-e-ruḳhsat donoñ kā vo aañkh bhar bhar dekhnā
yuuñ to kuchh kamtar nahīñ hai har kisī ko chāhnā
dil kā sab asbāb lekin ik ko de kar dekhnā
āshnā nazreñ to kab kī ho ga.iiñ nā-āshnā
phir bhī aadat sī hai aate jaate vo ghar dekhnā
murda āñkheñ dekhne se baḌh ke vahshat-nāk hai
zinda āñkhoñ meñ kisī kī maut kā Dar dekhnā
tum kabhi meri tarah barbaad ho kar dekhna
main ne jo ek umr dekha us ko pal bhar dekhna
aankh ki KHamoshiyon mein kitne tufan hain chhupe
ek mauj-e-yaad bas aur phir wo manzar dekhna
sath the to jazbon mein ehsas-e-shiddat kuchh na tha
waqt-e-ruKHsat donon ka wo aankh bhar bhar dekhna
yun to kuchh kamtar nahin hai har kisi ko chahna
dil ka sab asbab lekin ek ko de kar dekhna
aashna nazren to kab ki ho gain na-ashna
phir bhi aadat si hai aate jate wo ghar dekhna
murda aankhen dekhne se baDh ke wahshat-nak hai
zinda aankhon mein kisi ki maut ka Dar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.