tum khul rahe the ghair se chhanw tale khaDe
tum khul rahe the ġhair se chhāñv tale khaḌe
ham dast-e-rashk dhuup meñ apne male khaḌe
ham dekh tum ko dauḌe ki mil leñ gale khaḌe
tum bhuul ham ko rah ga.e jaanī bhale khaḌe
baiTho jī mal ke mehñdī dikhāo uThā na haath
hāthoñ se ham tumhāre bahut haiñ jale khaḌe
hai har nafas ke saath havā.ī va phuljhaḌī
ye naḳhl-e-āh zor haiñ phūle phale khaḌe
hai ham pe tohmat-e-maraz-e-ishq 'azfarī'
ham tum haiñ dekho Thanī se chañge bhale khaḌe
tum khul rahe the ghair se chhanw tale khaDe
hum dast-e-rashk dhup mein apne male khaDe
hum dekh tum ko dauDe ki mil len gale khaDe
tum bhul hum ko rah gae jaani bhale khaDe
baiTho ji mal ke mehndi dikhao uTha na hath
hathon se hum tumhaare bahut hain jale khaDe
hai har nafas ke sath hawai wa phuljhaDi
ye naKHl-e-ah zor hain phule phale khaDe
hai hum pe tohmat-e-maraz-e-ishq 'azfari'
hum tum hain dekho Thani se change bhale khaDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.