tum KHwab mein aaoge ye malum nahin tha
tum ḳhvāb meñ aaoge ye ma.alūm nahīñ thā
phir ḳhvāb dikhāoge ye ma.alūm nahīñ thā
tum ka.abe ko Dhāoge ye ma.alūm nahīñ thā
dil toḌ ke jāoge ye ma.alūm nahīñ thā
jis ḳhat meñ tañke the mire ashkoñ ke sitāre
vo ḳhat bhī jalāo.ge ye ma.alūm nahīñ thā
kuchh aks mire ā.īna-ḳhāne se churā kar
mujh ko hī dikhāoge ye ma.alūm nahīñ thā
qad merā ghaTāoge mujhe is kī ḳhabar thī
saa.e ko baḌhāoge ye ma.alūm nahīñ thā
ye to mujhe ma.alūm thā tum jāoge lekin
is tarah se jāoge ye ma.alūm nahīñ thā
ik lamhe kī āvārā-nigāhī ke sahāre
dil meñ utar aaoge ye ma.alūm nahīñ thā
tum holī bhī kheloge mire dil ke lahū se
dāman bhī bachāoge ye ma.alūm nahīñ thā
hairat meñ haiñ ahbāb ki is umr meñ qaisar
yuuñ dhuum machāoge ye ma.alūm nahīñ thā
tum KHwab mein aaoge ye malum nahin tha
phir KHwab dikhaoge ye malum nahin tha
tum kabe ko Dhaoge ye malum nahin tha
dil toD ke jaoge ye malum nahin tha
jis KHat mein tanke the mere ashkon ke sitare
wo KHat bhi jalaoge ye malum nahin tha
kuchh aks mere aaina-KHane se chura kar
mujh ko hi dikhaoge ye malum nahin tha
qad mera ghaTaoge mujhe is ki KHabar thi
sae ko baDhaoge ye malum nahin tha
ye to mujhe malum tha tum jaoge lekin
is tarah se jaoge ye malum nahin tha
ek lamhe ki aawara-nigahi ke sahaare
dil mein utar aaoge ye malum nahin tha
tum holi bhi kheloge mere dil ke lahu se
daman bhi bachaoge ye malum nahin tha
hairat mein hain ahbab ki is umr mein qaisar
yun dhum machaoge ye malum nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.