tumko dekha wo KHwab tha jaani
tum ko dekhā vo ḳhvāb thā jaanī
niiñd kā ik naqāb thā jaanī
ishq ko tum gunāh samajhte rahe
ye to kār-e-savāb thā jaanī
har shikan meñ ibārateñ muzmar
us kā chehra kitāb thā jaanī
chhoḌ kar tum chale ga.e mujh ko
faisla vo ḳharāb thā jaanī
zindagī kī ghuTan are tauba
saañs lenā azaab thā jaanī
fitratan tum bhī the anā ke ġhulām
maiñ bhī tab.an navāb thā jaanī
tum mujhe chāho maiñ tumheñ chāhūñ
sīdhā saada hisāb thā jaanī
tum ko dekha wo KHwab tha jaani
nind ka ek naqab tha jaani
ishq ko tum gunah samajhte rahe
ye to kar-e-sawab tha jaani
har shikan mein ibaraten muzmar
us ka chehra kitab tha jaani
chhoD kar tum chale gae mujh ko
faisla wo KHarab tha jaani
zindagi ki ghuTan are tauba
sans lena azab tha jaani
fitratan tum bhi the ana ke ghulam
main bhi taban nawab tha jaani
tum mujhe chaho main tumhein chahun
sidha sada hisab tha jaani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.