tumko hai yaro agar husn-e-bayan ki ehtiyat
tum ko hai yaaro agar husn-e-bayāñ kī ehtiyāt
jyuuñ qalam har baat meñ kījiye zabāñ kī ehtiyāt
āñsuoñ ke kar chukā huuñ maiñ havāle aah ko
har kahīñ hai fauj ke zimme nishāñ kī ehtiyāt
ehtiyāteñ karte karte mar chuke 'ījād' ham
ab jo naubat jaan par aa.ī kahāñ kī ehtiyāt
tum ko hai yaro agar husn-e-bayan ki ehtiyat
jyun qalam har baat mein kijiye zaban ki ehtiyat
aansuon ke kar chuka hun main hawale aah ko
har kahin hai fauj ke zimme nishan ki ehtiyat
ehtiyaten karte karte mar chuke 'ijad' hum
ab jo naubat jaan par aai kahan ki ehtiyat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.