tumko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi
tum ko ham dil meñ basā leñge tum aao to sahī
saarī duniyā se chhupā leñge tum aao to sahī
ek va.ada karo ab ham se na bichhḌoge kabhī
naaz ham saare uThā leñge tum aao to sahī
be-vafā bhī ho sitamgar bhī jafā-pesha bhī
ham ḳhudā tum ko banā leñge tum aao to sahī
raah tārīk hai aur duur hai manzil lekin
dard kī sham.eñ jalā leñge tum aao to sahī
tum ko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi
sari duniya se chhupa lenge tum aao to sahi
ek wada karo ab hum se na bichhDoge kabhi
naz hum sare uTha lenge tum aao to sahi
be-wafa bhi ho sitamgar bhi jafa-pesha bhi
hum KHuda tum ko bana lenge tum aao to sahi
rah tarik hai aur dur hai manzil lekin
dard ki shamen jala lenge tum aao to sahi
- Book : Junoon (Pg. 174)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.