tumko pata hai apne dil ko kaise humne shad kiya
tum ko pata hai apne dil ko kaise ham ne shaad kiyā
din meñ tumhāre ḳhvāb sajā.e shab-bhar tum ko yaad kiyā
āñkheñ mūñdīñ chehra dekhā aa.ī ḳhushbū saañs jo lī
tum ko yuuñ pāband kiyā aur ḳhud ko yuuñ āzād kiyā
sūraj niklā sub.h huī kab chandā chamkā raat huī
chupke chupke chhat par leTe lamhoñ ko barbād kiyā
duurī kyā hai qurbat kyā hai pyaar karo to jānoge
man se man ko joḌ liyā hai dard se dil ābād kiyā
baiThe akele soch rahe haiñ 'zāhid' kyā ye mohabbat hai
ek sanam kī ḳhātir ham ne duniyā ko nāshād kiyā
tum ko pata hai apne dil ko kaise hum ne shad kiya
din mein tumhaare KHwab sajae shab-bhar tum ko yaad kiya
aankhen mundin chehra dekha aai KHushbu sans jo li
tum ko yun paband kiya aur KHud ko yun aazad kiya
suraj nikla subh hui kab chanda chamka raat hui
chupke chupke chhat par leTe lamhon ko barbaad kiya
duri kya hai qurbat kya hai pyar karo to jaanoge
man se man ko joD liya hai dard se dil aabaad kiya
baiThe akele soch rahe hain 'zahid' kya ye mohabbat hai
ek sanam ki KHatir hum ne duniya ko nashad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.