tumko socha tirgi mein der tak
tum ko sochā tīrgī meñ der tak
maiñ nahāyā raushnī meñ der tak
dhuup meñ rahnā thā saarā din hameñ
kaise rahte chāñdnī meñ der tak
chīḳh ghuT kar rah ga.ī dil meñ magar
shor gūñjā ḳhāmushī meñ der tak
phir mujhe āvāz dī ik shaḳhs ne
phir maiñ Thahrā us galī meñ der tak
ġharq ho jaane se pahle kashtiyāñ
laḌkhaḌā.ī thiiñ nadī meñ der tak
log kyā samjheñge ye soche baġhair
ham bhī chillā.e ḳhushī meñ der tak
apnā ġham de kar vo ruḳhsat ho gayā
dil mirā royā ḳhushī meñ der tak
ḳhud se milne ke jatan meñ ai 'pavan'
maiñ rahā be-rabtagī meñ der tak
tum ko socha tirgi mein der tak
main nahaya raushni mein der tak
dhup mein rahna tha sara din hamein
kaise rahte chandni mein der tak
chiKH ghuT kar rah gai dil mein magar
shor gunja KHamushi mein der tak
phir mujhe aawaz di ek shaKHs ne
phir main Thahra us gali mein der tak
gharq ho jaane se pahle kashtiyan
laDkhaDai thin nadi mein der tak
log kya samjhenge ye soche baghair
hum bhi chillae KHushi mein der tak
apna gham de kar wo ruKHsat ho gaya
dil mera roya KHushi mein der tak
KHud se milne ke jatan mein ai 'pawan'
main raha be-rabtagi mein der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.