tumko wapas bulati pukaron ke dukh tum nahin jaante
tum ko vāpas bulātī pukāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
paañv paḌte hue chup ke māroñ ke dukh tum nahīñ jānte
jab zarūrat kī miqdār baḌhtī hai sab Dūbne lagte haiñ
ham nasheboñ ke ābād-kāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
ek ūñchā.ī par ḳhud ko taslīm kartī masarrat ke baad
nīche girte hue ābshāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
ek arsa yahāñ zindagī apnī taulīd kartī rahī
in khañDar oḌhte sabza-zāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
kitnī duniyā.eñ tasḳhīr hone kī ḳhvāhish meñ betāb haiñ
in pahāḌoñ meñ maujūd ġhāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
ham samājī ġhulāmoñ pe apne liye sochnā band hai
ek sūraj ke hote sitāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
tum nahīñ jānte past zehnoñ ke mābain fikr-e-rasā
khā.iyoñ meñ ghire kohsāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
monalisa kī muskān us ke badan kā ḳhulāsa nahīñ
dekhne vaalo in shāhkāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
maiñ ne ġhālib ko dillī kā pursa diyā faiz goyā hue
mere bachche abhī mere yāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
bānū-e-sub.h jab raushnī kī rasad roktī hai 'munīr'
vaqt ko pesh aate ḳhasāroñ ke dukh tum nahīñ jānte
tum ko wapas bulati pukaron ke dukh tum nahin jaante
panw paDte hue chup ke maron ke dukh tum nahin jaante
jab zarurat ki miqdar baDhti hai sab Dubne lagte hain
hum nashebon ke aabaad-karon ke dukh tum nahin jaante
ek unchai par KHud ko taslim karti masarrat ke baad
niche girte hue aabshaaron ke dukh tum nahin jaante
ek arsa yahan zindagi apni taulid karti rahi
in khanDar oDhte sabza-zaron ke dukh tum nahin jaante
kitni duniyaen tasKHir hone ki KHwahish mein betab hain
in pahaDon mein maujud ghaaron ke dukh tum nahin jaante
hum samaji ghulamon pe apne liye sochna band hai
ek suraj ke hote sitaron ke dukh tum nahin jaante
tum nahin jaante past zehnon ke mabain fikr-e-rasa
khaiyon mein ghire kohsaron ke dukh tum nahin jaante
monalisa ki muskan us ke badan ka KHulasa nahin
dekhne walo in shahkaron ke dukh tum nahin jaante
main ne ghaalib ko dilli ka pursa diya faiz goya hue
mere bachche abhi mere yaron ke dukh tum nahin jaante
banu-e-subh jab raushni ki rasad rokti hai 'munir'
waqt ko pesh aate KHasaron ke dukh tum nahin jaante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.