tum le ke apne hath mein KHanjar na dekhna
tum le ke apne haath meñ ḳhanjar na dekhnā
aur dekhnā to tan pe mire sar na dekhnā
dushman bhī mere saath hī aatā hai bazm meñ
tum ko qasam hai aañkh uThā kar na dekhnā
gar dekhte nahīñ ho nadāmat se jaur kī
tum ab to dekh lo dam-e-mahshar na dekhnā
dil par rahegī naqsh ye be-mehriyāñ tirī
jaanā aur is tarah se ki muḌ kar na dekhnā
'mā.il' jo tauba karte ho kaisā hī abr ho
phir aañkh uThā ke shīsha-o-sāġhar na dekhnā
tum le ke apne hath mein KHanjar na dekhna
aur dekhna to tan pe mere sar na dekhna
dushman bhi mere sath hi aata hai bazm mein
tum ko qasam hai aankh uTha kar na dekhna
gar dekhte nahin ho nadamat se jaur ki
tum ab to dekh lo dam-e-mahshar na dekhna
dil par rahegi naqsh ye be-mehriyan teri
jaana aur is tarah se ki muD kar na dekhna
'mail' jo tauba karte ho kaisa hi abr ho
phir aankh uTha ke shisha-o-saghar na dekhna
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 228)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.