tum mein to kuchh bhi wahiyat nahin
tum meñ to kuchh bhī vāhiyāt nahīñ
jaao tum aadmī kī zaat nahīñ
dil meñ jo hai vahī zabān pe hai
aur koī ham meñ ḳhaas baat nahīñ
sab ko dhutkārā darkinār kiyā
ek bas ḳhud hī se najāt nahīñ
khul ke milte haiñ jis se milte haiñ
zehn meñ koī chhūt-chhāt nahīñ
ik ta.alluq sabhī se hai lekin
sab se jaa.ez ta.alluqāt nahīñ
shā.irī hai ye shā.irī sāhab
ye sharīfoñ ke bas kī baat nahīñ
tum mein to kuchh bhi wahiyat nahin
jao tum aadmi ki zat nahin
dil mein jo hai wahi zaban pe hai
aur koi hum mein KHas baat nahin
sab ko dhutkara darkinar kiya
ek bas KHud hi se najat nahin
khul ke milte hain jis se milte hain
zehn mein koi chhut-chhat nahin
ek talluq sabhi se hai lekin
sab se jaez talluqat nahin
shairi hai ye shairi sahab
ye sharifon ke bas ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.