tum mere baad kuchh naya karna
tum mire baad kuchh nayā karnā
soch kā tarjuma kiyā karnā
koī sūrat nahīñ bachī to phir
terā milnā mirī davā karnā
mujh ko ye tajraba huā tum se
qismatoñ kā likhā huā karnā
chīḳhnā jāhiloñ kā mujh par aur
sabr karnā mirā hañsā karnā
sab dalā.il durust the lekin
jhuuT par us kā iktifā karnā
tum mere baad kuchh naya karna
soch ka tarjuma kiya karna
koi surat nahin bachi to phir
tera milna meri dawa karna
mujh ko ye tajraba hua tum se
qismaton ka likha hua karna
chiKHna jahilon ka mujh par aur
sabr karna mera hansa karna
sab dalail durust the lekin
jhuT par us ka iktifa karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.