tum na aaoge to kya ho jaega
tum na aaoge to kyā ho jā.egā
dard ḳhud baḌh kar davā ho jā.egā
jo ḳhudī se āshnā ho jā.egā
mahram-e-rāz-e-baqā ho jā.egā
kyā pilāoge kisī suqrāt ko
zahr to āb-e-baqā ho jā.egā
ham kareñge jab navā-e-haq buland
ik zamāna ham-navā ho jā.egā
pārsā.ī dekhtī rah jā.egī
bāb-e-rahmat ham pe vā ho jā.egā
shauq-e-manzil shart hai ai rāh-rau
zarra zarra rahnumā ho jā.egā
bārgāh-e-husn par kar do nisār
zindagī kā haq adā ho jā.egā
naaz kyā hai zindagī ke saaz par
ek din ye be-sadā ho jā.egā
ham ne puujā thā kisī ko pyaar se
kyā ḳhabar thī vo ḳhudā ho jā.egā
iffat-e-qalb-o-nazar paidā to kar
husn majbūr-e-vafā ho jā.egā
kaam le 'sābir' tū sabr-o-shukr se
us kī jo hogī razā ho jā.egā
tum na aaoge to kya ho jaega
dard KHud baDh kar dawa ho jaega
jo KHudi se aashna ho jaega
mahram-e-raaz-e-baqa ho jaega
kya pilaoge kisi suqraat ko
zahr to aab-e-baqa ho jaega
hum karenge jab nawa-e-haq buland
ek zamana ham-nawa ho jaega
parsai dekhti rah jaegi
bab-e-rahmat hum pe wa ho jaega
shauq-e-manzil shart hai ai rah-rau
zarra zarra rahnuma ho jaega
bargah-e-husn par kar do nisar
zindagi ka haq ada ho jaega
naz kya hai zindagi ke saz par
ek din ye be-sada ho jaega
hum ne puja tha kisi ko pyar se
kya KHabar thi wo KHuda ho jaega
iffat-e-qalb-o-nazar paida to kar
husn majbur-e-wafa ho jaega
kaam le 'sabir' tu sabr-o-shukr se
us ki jo hogi raza ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.