tum na mano magar haqiqat hai
tum na maano magar haqīqat hai
ishq insān kī zarūrat hai
jī rahā huuñ is e'timād ke saath
zindagī ko mirī zarūrat hai
husn hī husn jalve hī jalve
sirf ehsās kī zarūrat hai
us ke va.ade pe naaz the kyā kyā
ab dar-o-bām se nadāmat hai
us kī mahfil meñ baiTh kar dekho
zindagī kitnī ḳhūb-sūrat hai
rāsta kaT hī jā.egā 'qābil'
shauq-e-manzil agar salāmat hai
tum na mano magar haqiqat hai
ishq insan ki zarurat hai
ji raha hun is e'timad ke sath
zindagi ko meri zarurat hai
husn hi husn jalwe hi jalwe
sirf ehsas ki zarurat hai
us ke wade pe naz the kya kya
ab dar-o-baam se nadamat hai
us ki mahfil mein baiTh kar dekho
zindagi kitni KHub-surat hai
rasta kaT hi jaega 'qabil'
shauq-e-manzil agar salamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.