tum nahin to kahin qarar nahin
tum nahīñ to kahīñ qarār nahīñ
ab bahāroñ kā intizār nahīñ
sirf tum par yaqīn hai mujh ko
is zamāne pe e.atibār nahīñ
aap kī rahbarī se hai ummīd
merā rastoñ pe iḳhtiyār nahīñ
phuul parvat nadī sitāre jhiil
bin tumhāre kahīñ nikhār nahīñ
sirf jhagḌā huā hai chhoTā sā
dostī meñ kahīñ darār nahīñ
maiñ ne number liyā hai bas yūñhī
guftugū kā koī bichār nahīñ
jis kī taḳhlīq ishq ne kī ho
us sā koī bhī shāhkār nahīñ
tum nahin to kahin qarar nahin
ab bahaaron ka intizar nahin
sirf tum par yaqin hai mujh ko
is zamane pe eatibar nahin
aap ki rahbari se hai ummid
mera raston pe iKHtiyar nahin
phul parwat nadi sitare jhil
bin tumhaare kahin nikhaar nahin
sirf jhagDa hua hai chhoTa sa
dosti mein kahin darar nahin
main ne number liya hai bas yunhi
guftugu ka koi bichaar nahin
jis ki taKHliq ishq ne ki ho
us sa koi bhi shahkar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.