tumne bhi un se hi milna hota hai
tum ne bhī un se hī milnā hotā hai
jin logoñ se merā jhagḌā hotā hai
us ke gaañv kī ek nishānī ye bhī hai
har nalke kā paanī mīThā hotā hai
maiñ us shaḳhs se thoḌā aage chaltā huuñ
jis kā maiñ ne pīchhā karnā hotā hai
tum merī duniyā meñ bilkul aise ho
taash meñ jaise hukum kā ikkā hotā hai
kitne sūkhe peḌ bachā sakte haiñ ham
har jañgal meñ lakkaḌhārā hotā hai
tum ne bhi un se hi milna hota hai
jin logon se mera jhagDa hota hai
us ke ganw ki ek nishani ye bhi hai
har nalke ka pani miTha hota hai
main us shaKHs se thoDa aage chalta hun
jis ka main ne pichha karna hota hai
tum meri duniya mein bilkul aise ho
tash mein jaise hukum ka ikka hota hai
kitne sukhe peD bacha sakte hain hum
har jangal mein lakkaDhaara hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.