tumne bhule se kabhi ye nahin socha hoga
tum ne bhūle se kabhī ye nahīñ sochā hogā
ham jo bichhḌeñge to kyā haal hamārā hogā
aa ga.e ho to ujālā hai mirī duniyā meñ
jāoge tum to añdherā hī añdherā hogā
ye na kahiye ki mirī aañkh se Tapkā aañsū
chhoḌiye bhī koī TuuTā huā taarā hogā
kyā ḳhabar thī kī tire shahr se pahle ai dost
raat aa jā.egī aur raah meñ dariyā hogā
ḳhvāb lab ḳhvāb jabīñ ḳhvāb adā ḳhvāb hayā
itne ḳhvāboñ meñ koī ḳhvāb to sachchā hogā
dil ke ā.īne meñ kar aks-e-tamannā na talāsh
tū muqābil hai to hairat ke sivā kyā hogā
paikar-e-ishq to farhād bhī thā majnūñ bhī
aur vo shaḳhs ki tū ne jise chāhā hogā
aaj to ḳhush huuñ bahut ḳhush huuñ bahut hī ḳhush huuñ
is tasavvur meñ maiñ kaañp uThtā huuñ kal kyā hogā
ek vo haiñ jinheñ ḳhalvat meñ bhī lutf-e-jalvat
haa.e vo shaḳhs jo mahfil meñ bhī tanhā hogā
fikr anjām-e-mohabbat kī hai tauhīn ai 'lais'
vahī hogā mirī qismat meñ jo likkhā hogā
tum ne bhule se kabhi ye nahin socha hoga
hum jo bichhDenge to kya haal hamara hoga
aa gae ho to ujala hai meri duniya mein
jaoge tum to andhera hi andhera hoga
ye na kahiye ki meri aankh se Tapka aansu
chhoDiye bhi koi TuTa hua tara hoga
kya KHabar thi ki tere shahr se pahle ai dost
raat aa jaegi aur rah mein dariya hoga
KHwab lab KHwab jabin KHwab ada KHwab haya
itne KHwabon mein koi KHwab to sachcha hoga
dil ke aaine mein kar aks-e-tamanna na talash
tu muqabil hai to hairat ke siwa kya hoga
paikar-e-ishq to farhad bhi tha majnun bhi
aur wo shaKHs ki tu ne jise chaha hoga
aaj to KHush hun bahut KHush hun bahut hi KHush hun
is tasawwur mein main kanp uThta hun kal kya hoga
ek wo hain jinhen KHalwat mein bhi lutf-e-jalwat
hae wo shaKHs jo mahfil mein bhi tanha hoga
fikr anjam-e-mohabbat ki hai tauhin ai 'lais'
wahi hoga meri qismat mein jo likkha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.