tumne jo socha hai waisa hi sahi
tum ne jo sochā hai vaisā hī sahī
ishq jhūThā hai to jhūThā hī sahī
us se har haal nibhānā hai mujhe
vo jo kaḌvā hai to kaḌvā hī sahī
chāñd-tāre to nahīñ qismat meñ
miTTī kā ek khilaunā hī sahī
mere jazbāt tamāsha haiñ agar
chal to phir aur tamāsha hī sahī
ik ajab dil ko sukūñ detā hai
milnā ham donoñ kā sapnā hī sahī
mujh ko hai naaz ki kuchh to huuñ maiñ
'jyotī' qatra hai to qatra hī sahī
tum ne jo socha hai waisa hi sahi
ishq jhuTha hai to jhuTha hi sahi
us se har haal nibhana hai mujhe
wo jo kaDwa hai to kaDwa hi sahi
chand-tare to nahin qismat mein
miTTi ka ek khilauna hi sahi
mere jazbaat tamasha hain agar
chal to phir aur tamasha hi sahi
ek ajab dil ko sukun deta hai
milna hum donon ka sapna hi sahi
mujh ko hai naz ki kuchh to hun main
'jyoti' qatra hai to qatra hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.