tumne kaisa ye rabta rakkha
tum ne kaisā ye rābta rakkhā
na mile ho na fāsla rakkhā
nahīñ chāhā kisī ko tere sivā
tū ne ham ko bhī pārsā rakkhā
phuul khilte hī khul ga.iiñ āñkheñ
kis ne ḳhushbū meñ sāniha rakkhā
tū na rusvā ho is liye ham ne
apnī chāhat pe dā.era rakkhā
jhuuT bolā to umr bhar bolā
tum ne is meñ bhī zābta rakkhā
koī dekhe ye sādgī apnī
phuul yādoñ kā ik sajā rakkhā
'sād' uljhā rahā magar us ne
tujh se milne kā rāsta rakkhā
tum ne kaisa ye rabta rakkha
na mile ho na fasla rakkha
nahin chaha kisi ko tere siwa
tu ne hum ko bhi parsa rakkha
phul khilte hi khul gain aankhen
kis ne KHushbu mein saniha rakkha
tu na ruswa ho is liye hum ne
apni chahat pe daera rakkha
jhuT bola to umr bhar bola
tum ne is mein bhi zabta rakkha
koi dekhe ye sadgi apni
phul yaadon ka ek saja rakkha
'sad' uljha raha magar us ne
tujh se milne ka rasta rakkha
- Book : muntakhab shahkaar gazlen (Pg. 58)
- Publication : New silvar book ajency mumbai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.