tumne kiya hai tumne ishaara bahut ghalat
tum ne kiyā hai tum ne ishārā bahut ġhalat
dariyā bahut durust kinārā bahut ġhalat
is haar meñ hai haath tumhārā bahut ġhalat
tum ne kiyā hai faisla saarā bahut ġhalat
ham Duub jaa.eñ apne hī ġham ke bahāo meñ
haañ haañ ġhalat ġhalat mire yaarā bahut ġhalat
is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zār tak
bahne lagā hai ḳhuun kā dhārā bahut ġhalat
afsos mujh ko is pe sazā hijr kī milī
maiñ ne likhā thā naam tumhārā bahut ġhalat
maidāñ meñ ek fard bhī zinda na mil sakā
shab-ḳhūn us ne āḳhirī maarā bahut ġhalat
ham haiñ zamīñ ke log magar dekh ai falak
letā hai imtihāñ tū hamārā bahut ġhalat
hogā kisī to roz tumhārā hisāb bhī
tum ne kisī ġharīb ko maarā bahut ġhalat
vāqif thā apne ishq ke anjām se magar
phir bhī kisī pe jaan ko vaarā bahut ġhalat
ham dil-zadoñ ke vāste ye shab hī Thiik hai
niklā hai shab kā āḳhirī taarā bahut ġhalat
afsos ai 'nabīl' ye tum ne samajh liyā
dil ko bhī jal bujhā sā sharārā bahut ġhalat
chehra sadāqatoñ kā huā masḳh ai 'nabīl'
us ne bahāyā jhuuT kā dhārā bahut ġhalat
tum ne kiya hai tum ne ishaara bahut ghalat
dariya bahut durust kinara bahut ghalat
is haar mein hai hath tumhaara bahut ghalat
tum ne kiya hai faisla sara bahut ghalat
hum Dub jaen apne hi gham ke bahao mein
han han ghalat ghalat mere yara bahut ghalat
is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zar tak
bahne laga hai KHun ka dhaara bahut ghalat
afsos mujh ko is pe saza hijr ki mili
main ne likha tha nam tumhaara bahut ghalat
maidan mein ek fard bhi zinda na mil saka
shab-KHun us ne aaKHiri mara bahut ghalat
hum hain zamin ke log magar dekh ai falak
leta hai imtihan tu hamara bahut ghalat
hoga kisi to roz tumhaara hisab bhi
tum ne kisi gharib ko mara bahut ghalat
waqif tha apne ishq ke anjam se magar
phir bhi kisi pe jaan ko wara bahut ghalat
hum dil-zadon ke waste ye shab hi Thik hai
nikla hai shab ka aaKHiri tara bahut ghalat
afsos ai 'nabil' ye tum ne samajh liya
dil ko bhi jal bujha sa sharara bahut ghalat
chehra sadaqaton ka hua masKH ai 'nabil'
us ne bahaya jhuT ka dhaara bahut ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.