Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum pilao ye kam ghanimat hai

Shaukat Wasti

tum pilao ye kam ghanimat hai

Shaukat Wasti

MORE BYShaukat Wasti

    tum pilāo ye kam ġhanīmat hai

    mai na.ī hai to sam ġhanīmat hai

    hai ḳhushī bhī kaifiyat ma.alūm

    ho mayassar to ġham ġhanīmat hai

    tum na aa.e sahar to aa ga.ī

    dam-ba-dam dam-ba-dam ġhanīmat hai

    is meñ sang-e-girāñ bhī milte haiñ

    raah pech-o-ḳham ġhanīmat hai

    raat din āsmāñ haiñ chakkar meñ

    mil jo baiTheñ baham ġhanīmat hai

    zindagānī e.atibār nahīñ

    jo guzar jaa.e dam ġhanīmat hai

    ka.aba-o-dair se najāt milī

    terā naqsh-e-qadam ġhanīmat hai

    shā.irī dil-lagī nahīñ 'shaukat'

    jo hai zor-e-qalam ġhanīmat hai

    tum pilao ye kam ghanimat hai

    mai nai hai to sam ghanimat hai

    hai KHushi ki bhi kaifiyat malum

    ho mayassar to gham ghanimat hai

    tum na aae sahar to aa hi gai

    dam-ba-dam dam-ba-dam ghanimat hai

    is mein sang-e-giran bhi milte hain

    rah ka pech-o-KHam ghanimat hai

    raat din aasman hain chakkar mein

    mil jo baiThen baham ghanimat hai

    zindagani ka eatibar nahin

    jo guzar jae dam ghanimat hai

    kaba-o-dair se najat mili

    tera naqsh-e-qadam ghanimat hai

    shairi dil-lagi nahin 'shaukat'

    jo hai zor-e-qalam ghanimat hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now