tum samajhte ho zamane ke liye aata tha
tum samajhte ho zamāne ke liye aatā thā
maiñ tumheñ sher sunāne ke liye aatā thā
phir musannif ne bilā-vaj.h mujhe maar diyā
maiñ kahānī meñ hañsāne ke liye aatā thā
rafta rafta mujhe mālūm huā dhyān us kā
saañp thā aur ḳhazāne ke liye aatā thā
mere bachchoñ ko yaqīñ kaun dilā.e ki yahāñ
chāñd jhīloñ meñ nahāne ke liye aatā thā
ruuTh jaatā thā maiñ gaañv meñ bhī yūñhī 'maz.har'
par vahāñ gaañv manāne ke liye aatā thā
tum samajhte ho zamane ke liye aata tha
main tumhein sher sunane ke liye aata tha
phir musannif ne bila-wajh mujhe mar diya
main kahani mein hansane ke liye aata tha
rafta rafta mujhe malum hua dhyan us ka
sanp tha aur KHazane ke liye aata tha
mere bachchon ko yaqin kaun dilae ki yahan
chand jhilon mein nahane ke liye aata tha
ruTh jata tha main ganw mein bhi yunhi 'mazhar'
par wahan ganw manane ke liye aata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.