tum sarwat ko paDhti ho
tum sarvat ko paḌhtī ho
kitnī achchhī laḌkī ho
baat nahīñ suntī ho kyuuñ
ġhazleñ bhī to suntī ho
kyā rishta hai shāmoñ se
sūraj kī kyā lagtī ho
log nahīñ Darte rab se
tum logoñ se Dartī ho
maiñ to jiitā huuñ tum meñ
tum kyuuñ mujh pe martī ho
aadam aur sudhar jaa.e
tum bhī had hī kartī ho
kis ne jeans karī mamnūa
pahno achchhī lagtī ho
tum sarwat ko paDhti ho
kitni achchhi laDki ho
baat nahin sunti ho kyun
ghazlen bhi to sunti ho
kya rishta hai shamon se
suraj ki kya lagti ho
log nahin Darte rab se
tum logon se Darti ho
main to jita hun tum mein
tum kyun mujh pe marti ho
aadam aur sudhar jae
tum bhi had hi karti ho
kis ne jeans kari mamnua
pahno achchhi lagti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.