tum se bhi ab to ja chuka hun main
tum se bhī ab to jā chukā huuñ maiñ
dūr-hā-dūr aa chukā huuñ maiñ
ye bahut ġham kī baat ho shāyad
ab to ġham bhī gañvā chukā huuñ maiñ
is gumān-e-gumāñ ke aalam meñ
āḳhirash kyā bhulā chukā huuñ maiñ
ab babar sher ishtihā hai mirī
shā.iroñ ko to khā chukā huuñ maiñ
maiñ huuñ me.amār par ye batlā duuñ
shahr ke shahr Dah chukā huuñ maiñ
haal hai ik ajab farāġhat kā
apnā har ġham manā chukā huuñ maiñ
log kahte haiñ maiñ ne jog liyā
aur dhūnī ramā chukā huuñ maiñ
nahīñ imlā durust 'ġhālib' kā
'shefta' ko batā chukā huuñ maiñ
tum se bhi ab to ja chuka hun main
dur-ha-dur aa chuka hun main
ye bahut gham ki baat ho shayad
ab to gham bhi ganwa chuka hun main
is guman-e-guman ke aalam mein
aaKHirash kya bhula chuka hun main
ab babar sher ishtiha hai meri
shairon ko to kha chuka hun main
main hun meamar par ye batla dun
shahr ke shahr Dah chuka hun main
haal hai ek ajab faraghat ka
apna har gham mana chuka hun main
log kahte hain main ne jog liya
aur dhuni rama chuka hun main
nahin imla durust 'ghaalib' ka
'shefta' ko bata chuka hun main
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 37)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.