tum se bichhDe to koi KHwab na dekha humne
tum se bichhḌe to koī ḳhvāb na dekhā ham ne
rakh liyā āñkhoñ kā us din se hī roza ham ne
aaj ḳhush-hāl haiñ to donoñ alag rahte haiñ
jo burā vaqt thā vo saath guzārā ham ne
aañkh se Tuut gayā ḳhvāb kā rishta āḳhir
pā liyā jāgte rahne kā natīja ham ne
kyā himāqat hai ki bas ek anā kī ḳhātir
kar liyā tum se bichhaḌnā bhī gavāra ham ne
'ishq ke khel meñ aañsū hī mayassar hoñge
yaad to kiije ka.ī baar kahā thā ham ne
tum se bichhDe to koi KHwab na dekha hum ne
rakh liya aankhon ka us din se hi roza hum ne
aaj KHush-haal hain to donon alag rahte hain
jo bura waqt tha wo sath guzara hum ne
aankh se Tut gaya KHwab ka rishta aaKHir
pa liya jagte rahne ka natija hum ne
kya himaqat hai ki bas ek ana ki KHatir
kar liya tum se bichhaDna bhi gawara hum ne
'ishq ke khel mein aansu hi mayassar honge
yaad to kije kai bar kaha tha hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.