tum se dilkash thī kā.enāt mirī
khā ga.ī maat kyoñ hayāt mirī
dil meñ kyoñ huuk sī uThī ai dost
yaad kyā aa.ī koī baat mirī
shukriya in udaas āñkhoñ kā
kaT ga.ī mai-kade meñ raat mirī
yuuñ khulī terī zulf-e-nāz ki bas
bas ga.ī ḳhushbuoñ meñ raat mirī
dostoñ hī kā faiz hai varna
jiit kyā aur kyā hai maat mirī
'raaj ik aañkh ke ishāre par
luT ga.ī saarī kā.enāt mirī
tum se dilkash thi kaenat meri
kha gai mat kyon hayat meri
dil mein kyon huk si uThi ai dost
yaad kya aai koi baat meri
shukriya in udas aankhon ka
kaT gai mai-kade mein raat meri
yun khuli teri zulf-e-naz ki bas
bas gai KHushbuon mein raat meri
doston hi ka faiz hai warna
jit kya aur kya hai mat meri
'raj ek aankh ke ishaare par
luT gai sari kaenat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.