tum se do harf ka KHat bhi nahin likkha jata
tum se do harf kā ḳhat bhī nahīñ likkhā jaatā
jaao ab yuuñ bhī ta'alluq nahīñ toḌā jaatā
dil kā ahvāl na pūchho ki bahut roz hue
is ḳharābe kī taraf maiñ nahīñ aatā jaatā
tishnagī ne kabhī dariyāoñ se milne na diyā
ham jidhar jaate usī raah meñ sahrā jaatā
zindagī! rahne bhī de soch kī had hotī hai
itnā sochā hai ki sadiyoñ meñ na sochā jaatā
us ko andāz-e-taġhāful bhī na aayā ab tak
bhūlne hī ko sahī yaad to rakkhā jaatā
haa.e vo daur ki aañsū bhī na the āñkhoñ meñ
aur chehrā thā ki be-ro.e bhī bhīgā jaatā
bhūltā hī nahīñ vo marhala-e-rāz-o-niyāz
ham manāte to koī aur bhī rūThā jaatā
pas-e-dīvār kā manzar bhī gayā apne saath
sahn-e-vīrān se patthar kahāñ pheñkā jaatā
shaam hote hī koī sham' jalā rakhnī thī
jab darīche se havā aatī to dekhā jaatā
raushnī apne gharoñdoñ meñ chhupī thī varna
shahr ke shahr pe shab-ḳhūn na maarā jaatā
itne aañsū mirī āñkhoñ meñ kahāñ the 'qaisar'
'umr bhar dil ke janāze pe jo royā jaatā
tum se do harf ka KHat bhi nahin likkha jata
jao ab yun bhi ta'alluq nahin toDa jata
dil ka ahwal na puchho ki bahut roz hue
is KHarabe ki taraf main nahin aata jata
tishnagi ne kabhi dariyaon se milne na diya
hum jidhar jate usi rah mein sahra jata
zindagi! rahne bhi de soch ki had hoti hai
itna socha hai ki sadiyon mein na socha jata
us ko andaz-e-taghaful bhi na aaya ab tak
bhulne hi ko sahi yaad to rakkha jata
hae wo daur ki aansu bhi na the aankhon mein
aur chehra tha ki be-roe bhi bhiga jata
bhulta hi nahin wo marhala-e-raaz-o-niyaz
hum manate to koi aur bhi ruTha jata
pas-e-diwar ka manzar bhi gaya apne sath
sahn-e-viran se patthar kahan phenka jata
sham hote hi koi sham' jala rakhni thi
jab dariche se hawa aati to dekha jata
raushni apne gharondon mein chhupi thi warna
shahr ke shahr pe shab-KHun na mara jata
itne aansu meri aankhon mein kahan the 'qaisar'
'umr bhar dil ke janaze pe jo roya jata
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 226)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.