tum se jaana ki ek kitab hun main
tum se jaanā ki ik kitāb huuñ maiñ
harf-dar-harf lā-javāb huuñ maiñ
hasrat-e-mausam-e-gulāb huuñ maiñ
sach na ho pā.egā vo ḳhvāb huuñ maiñ
aap ne e'tibār hī na kiyā
meñ to kahtī rahī sarāb huuñ maiñ
mujh se apnī namī na suukh sakī
aap kahte haiñ āftāb huuñ maiñ
ho ke maujūd bhī nahīñ dikhtā
vo amāvas kā māhtāb huuñ maiñ
us se milte nahīñ usuul 'sahar'
chāhtī jis ko be-hisāb huuñ maiñ
tum se jaana ki ek kitab hun main
harf-dar-harf la-jawab hun main
hasrat-e-mausam-e-gulab hun main
sach na ho paega wo KHwab hun main
aap ne e'tibar hi na kiya
mein to kahti rahi sarab hun main
mujh se apni nami na sukh saki
aap kahte hain aaftab hun main
ho ke maujud bhi nahin dikhta
wo amawas ka mahtab hun main
us se milte nahin usul 'sahar'
chahti jis ko be-hisab hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.