tum se juDe hain jitne mohabbat-shanas log
tum se juḌe haiñ jitne mohabbat-shanās log
dar-asl zindagī haiñ yahī sau pachās log
do ruuh ik chhuan kī tamanna masāfateñ
yā'nī ki intihā.ī akele udaas log
be-mel nisbatoñ ke natā.ej haiñ sab firāq
furqat kā irtiqā haiñ sabhī bad-havās log
nam kī talāsh biich bayābāñ meñ le to aa.ī
pyāse khaḌe hue haiñ sarāboñ ke paas log
rūdād-e-'ishq paḌhne lagā ik buzurg shaḳhs
gherā banā ke baiTh ga.e ās-pās log
tum se juDe hain jitne mohabbat-shanas log
dar-asl zindagi hain yahi sau pachas log
do ruh ek chhuan ki tamanna masafaten
ya'ni ki intihai akele udas log
be-mel nisbaton ke nataej hain sab firaq
furqat ka irtiqa hain sabhi bad-hawas log
nam ki talash bich bayaban mein le to aai
pyase khaDe hue hain sarabon ke pas log
rudad-e-'ishq paDhne laga ek buzurg shaKHs
ghera bana ke baiTh gae aas-pas log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.