tum se milte hi bichhaDne ke wasile ho gae
tum se milte hī bichhaḌne ke vasīle ho ga.e
dil mile to jaan ke dushman qabīle ho ga.e
aaj ham bichhḌe haiñ to kitne rañgīle ho ga.e
merī āñkheñ surḳh tere haath piile ho ga.e
ab tirī yādoñ ke nishtar bhī hue jaate haiñ kund
ham ko kitne roz apne zaḳhm chhīle ho ga.e
kab kī patthar ho chukī thiiñ muntazir āñkheñ magar
chhū ke jab dekhā to mere haath giile ho ga.e
ab koī ummīd hai 'shāhid' na koī aarzū
aasre TuuTe to jiine ke vasīle ho ga.e
tum se milte hi bichhaDne ke wasile ho gae
dil mile to jaan ke dushman qabile ho gae
aaj hum bichhDe hain to kitne rangile ho gae
meri aankhen surKH tere hath pile ho gae
ab teri yaadon ke nishtar bhi hue jate hain kund
hum ko kitne roz apne zaKHm chhile ho gae
kab ki patthar ho chuki thin muntazir aankhen magar
chhu ke jab dekha to mere hath gile ho gae
ab koi ummid hai 'shahid' na koi aarzu
aasre TuTe to jine ke wasile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.