tum se na mil ke KHush hain wo dawa kidhar gaya
tum se na mil ke ḳhush haiñ vo daavā kidhar gayā
do roz meñ gulāb sā chehra utar gayā
jān-e-bahār tum ne vo kāñTe chubho.e haiñ
maiñ har gul-e-shagufta ko chhūne se Dar gayā
is dil ke TūTne kā mujhe koī ġham nahīñ
achchhā huā ki paap kaTā dard-e-sar gayā
maiñ bhī samajh rahā huuñ ki tum tum nahīñ rahe
tum bhī ye soch lo ki mirā 'kaif' mar gayā
tum se na mil ke KHush hain wo dawa kidhar gaya
do roz mein gulab sa chehra utar gaya
jaan-e-bahaar tum ne wo kanTe chubhoe hain
main har gul-e-shagufta ko chhune se Dar gaya
is dil ke TuTne ka mujhe koi gham nahin
achchha hua ki pap kaTa dard-e-sar gaya
main bhi samajh raha hun ki tum tum nahin rahe
tum bhi ye soch lo ki mera 'kaif' mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.