Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate

Shaanul Haq Haqqi

tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate

Shaanul Haq Haqqi

MORE BYShaanul Haq Haqqi

    tum se ulfat ke taqāze na nibāhe jaate

    varna ham ko bhī tamannā thī ki chāhe jaate

    dil ke māroñ na kar ġham ki ye andoh-nasīb

    zaḳhm bhī dil meñ na hotā to karāhe jaate

    kam-nigāhī hameñ ḳhud bhī kahāñ thī taufīq

    kam-nigāhī ke liye uzr na chāhe jaate

    kaash ai abr-e-bahārī tire bahke se qadam

    merī ummīd ke sahrā meñ bhī gaahe jaate

    ham bhī kyuuñ dahr raftār se hote pāmāl

    ham bhī har laġhzish-e-mastī ko sarāhe jaate

    lazzat-e-dard se āsūda kahāñ dil vaale

    haiñ faqat dard hasrat meñ karāhe jaate

    hai tire fitna-e-raftār shohrā kyā kyā

    garche dekhā na kisī ne sar-e-rāhe jaate

    na mohlat hameñ hastī ne vafā varna

    aur kuchh din ġham-e-hastī se nibāhe jaate

    tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate

    warna hum ko bhi tamanna thi ki chahe jate

    dil ke maron ka na kar gham ki ye andoh-nasib

    zaKHm bhi dil mein na hota to karahe jate

    kam-nigahi ki hamein KHud bhi kahan thi taufiq

    kam-nigahi ke liye uzr na chahe jate

    kash ai abr-e-bahaari tere bahke se qadam

    meri ummid ke sahra mein bhi gahe jate

    hum bhi kyun dahr ki raftar se hote pamal

    hum bhi har laghzish-e-masti ko sarahe jate

    lazzat-e-dard se aasuda kahan dil wale

    hain faqat dard ki hasrat mein karahe jate

    hai tere fitna-e-raftar ka shohra kya kya

    garche dekha na kisi ne sar-e-rahe jate

    di na mohlat hamein hasti ne wafa ki warna

    aur kuchh din gham-e-hasti se nibahe jate

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shaanul Haq Haqqi

    Shaanul Haq Haqqi

    Nahid  Akhtar

    Nahid Akhtar

    Nahid  Akhtar

    Nahid Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now