tum shujaat ke kahan qisse sunane lag gae
tum shujā.at ke kahāñ qisse sunāne lag ga.e
jītne aa.e the jo duniyā Thikāne lag ga.e
uḌ rahī hai shahr ke saare galī kūchoñ meñ ḳhaak
jitne āshiq the vo sab khāne-kamāne lag ga.e
reñgtī kāreñ ubaltī bhiiḌ be-bas rāste
kal mujhe ghar tak pahuñchne meñ zamāne lag ga.e
us ne ham par ik mohabbat kī nazar kyā Daal dī
haath jaise ham ġharīboñ ke ḳhazāne lag ga.e
umr bhar karte rahe ham ek kūche kā tavāf
ek saa.e ke ta.āqub meñ zamāne lag ga.e
zindagī dene lagī parhez-gārī kā sabaq
ab to ham jaise bhī sabzī daal khāne lag ga.e
tum shujaat ke kahan qisse sunane lag gae
jitne aae the jo duniya Thikane lag gae
uD rahi hai shahr ke sare gali kuchon mein KHak
jitne aashiq the wo sab khane-kamane lag gae
rengti karen ubalti bhiD be-bas raste
kal mujhe ghar tak pahunchne mein zamane lag gae
us ne hum par ek mohabbat ki nazar kya Dal di
hath jaise hum gharibon ke KHazane lag gae
umr bhar karte rahe hum ek kuche ka tawaf
ek sae ke taaqub mein zamane lag gae
zindagi dene lagi parhez-gari ka sabaq
ab to hum jaise bhi sabzi dal khane lag gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.