tum siyasat mein ho jo chahe naya karte raho
tum siyāsat meñ ho jo chāhe nayā karte raho
par katar ke in parindoñ ko rihā karte raho
dukh ke sab bādal chhaTeñge dhuup khul kar aa.egī
mas.ale par tum baḌoñ se mashvara karte raho
ham ne ye ta.alīm paa.ī hai nabī-e-pāk se
dushmanoñ ke haq meñ bhī rab se duā karte raho
tum bhī gin sakte ho taare āsmāñ ke haañ magar
shart itnī hai musalsal ratjagā karte raho
barkateñ baḌh jā.eñgī ghar meñ tumhāre dekhnā
ho sake to muflisoñ kā haq adā karte raho
tinkā tinkā joḌ kar ta.amīr hotā hai mahal
is liye har din nayā kuchh tajraba karte raho
tum siyasat mein ho jo chahe naya karte raho
par katar ke in parindon ko riha karte raho
dukh ke sab baadal chhaTenge dhup khul kar aaegi
masale par tum baDon se mashwara karte raho
hum ne ye talim pai hai nabi-e-pak se
dushmanon ke haq mein bhi rab se dua karte raho
tum bhi gin sakte ho tare aasman ke han magar
shart itni hai musalsal ratjaga karte raho
barkaten baDh jaengi ghar mein tumhaare dekhna
ho sake to muflison ka haq ada karte raho
tinka tinka joD kar tamir hota hai mahal
is liye har din naya kuchh tajraba karte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.