tum Tahniyon ki phul-jhaDiyon se jashn-e-shah-balut manana
tum Tahniyoñ kī phul-jhaḌiyoñ se jashn-e-shāh-balūt manānā
shahzāde ke shagūfe ko ik shāḳhcha-e-mazbūt batānā
sīnoñ ke ehrāmoñ vaale zinda ajūbe dhaḌ-dhaḌ dhaḌkeñ
nīm-diloñ ke niil kināre tab sāmān-e-hanūt bahānā
kuchh darbārī ghoḌoñ par bhagdaḌ se baḌī musībat ye hai
galī galī ke ḳhargoshoñ ko haal bahut marbūt sunānā
rang-birangī tasḳhīroñ ke bistar kā rūmān sañbhālo
pā.eñtī ḳhvāh judāgāna ho rakkho magar maḳhlūt sirhānā
mehrāb-o-mīnār-o-gumbad yaad kī ik tajsīm to hoñge
jab tā’mīr-e-mohabbat karnā har gosha maḳhrūt banānā
rasm-o-rāh baḌhī to husn ke har pahlū se 'ilāqa rahegā
ḳhitta-e-ḳhākī se rozāna ġhair-zarūrī ḳhutūt miTānā
merī gumTī par se ubhre aur us kī burjī meñ Duube
dil ke sitāre tere tulū' se mujh ko terā suqūt suhānā
tum Tahniyon ki phul-jhaDiyon se jashn-e-shah-balut manana
shahzade ke shagufe ko ek shaKHcha-e-mazbut batana
sinon ke ehramon wale zinda ajube dhaD-dhaD dhaDken
nim-dilon ke nil kinare tab saman-e-hanut bahana
kuchh darbari ghoDon par bhagdaD se baDi musibat ye hai
gali gali ke KHargoshon ko haal bahut marbut sunana
rang-birangi tasKHiron ke bistar ka ruman sanbhaalo
paenti KHwah judagana ho rakkho magar maKHlut sirhana
mehrab-o-minar-o-gumbad yaad ki ek tajsim to honge
jab ta’mir-e-mohabbat karna har gosha maKHrut banana
rasm-o-rah baDhi to husn ke har pahlu se 'ilaqa rahega
KHitta-e-KHaki se rozana ghair-zaruri KHutut miTana
meri gumTi par se ubhre aur us ki burji mein Dube
dil ke sitare tere tulu' se mujh ko tera suqut suhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.