tum the aur aalam bahut the
tum the aur ālām bahut the
aur vo sub.h-o-shām bahut the
tujh meñ bhī kuchh baat hai varna
dīvāne badnām bahut the
maiñ hī rahā ik pyaas kā maarā
maiḳhāne meñ jaam bahut the
chand hī nazreñ vaañ tak pahuñchīñ
nazzāre sar-e-bām bahut the
zānū-o-sar kī laaj rahī hai
pahre to har gaam bahut the
aap mirā kyoñ dam bharte haiñ
mujh par hī ilzām bahut the
fikr-e-'daur' ko tum se pahle
tere mere kaam bahut the
tum the aur aalam bahut the
aur wo subh-o-sham bahut the
tujh mein bhi kuchh baat hai warna
diwane badnam bahut the
main hi raha ek pyas ka mara
maiKHane mein jam bahut the
chand hi nazren wan tak pahunchin
nazzare sar-e-baam bahut the
zanu-o-sar ki laj rahi hai
pahre to har gam bahut the
aap mera kyon dam bharte hain
mujh par hi ilzam bahut the
fikr-e-'daur' ko tum se pahle
tere mere kaam bahut the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.