tum to bichhaDte waqt bhi pairon pe ghar gae
tum to bichhaḌte vaqt bhī pairoñ pe ghar ga.e
ham Thahre nā-tavāñ vahīñ dam bhar meñ mar ga.e
vo aa.e kab qarīb hamāre ye dekhiye
ham is jahān-e-fānī se jab kuuch kar ga.e
āh-o-fuġhāñ ke baad milā chain jab hameñ
kūcha-e-yār chhoḌ ke ham apne ghar ga.e
hairān huuñ badalte hue shahr dekh kar
galiyāñ kahāñ vo saarī vo raste kidhar ga.e
khulte hī aañkh merī hī tasvīr dekhnā
aisā kiye tumheñ to zamāne guzar ga.e
ujlat meñ ek ne lī charāġhoñ se dushmanī
ujlat meñ yaar dekhiye kitnoñ ke ghar ga.e
tum to bichhaDte waqt bhi pairon pe ghar gae
hum Thahre na-tawan wahin dam bhar mein mar gae
wo aae kab qarib hamare ye dekhiye
hum is jahan-e-fani se jab kuch kar gae
aah-o-fughan ke baad mila chain jab hamein
kucha-e-yar chhoD ke hum apne ghar gae
hairan hun badalte hue shahr dekh kar
galiyan kahan wo sari wo raste kidhar gae
khulte hi aankh meri hi taswir dekhna
aisa kiye tumhein to zamane guzar gae
ujlat mein ek ne li charaghon se dushmani
ujlat mein yar dekhiye kitnon ke ghar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.