tum waqt pe kar jate ho paiman faramosh
tum vaqt pe kar jaate ho paimān farāmosh
ye bhuul nahīñ hotī mirī jaan farāmosh
mehrāb-e-ibādat ḳham-e-abru hai butoñ kā
kar baiThe haiñ ka.abe ko musalmān farāmosh
ābād rahe shaad rahe yaad tumhārī
mujh se nahīñ hone kī kisī aan farāmosh
kab bhūlte haiñ paañv mire dasht-navardī
karte haiñ kahāñ haath girebān farāmosh
tum waqt pe kar jate ho paiman faramosh
ye bhul nahin hoti meri jaan faramosh
mehrab-e-ibaadat KHam-e-abru hai buton ka
kar baiThe hain kabe ko musalman faramosh
aabaad rahe shad rahe yaad tumhaari
mujh se nahin hone ki kisi aan faramosh
kab bhulte hain panw mere dasht-nawardi
karte hain kahan hath gireban faramosh
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.