tumhaara hijr use aabshaar karta tha
tumhārā hijr use ābshār kartā thā
hamārī aañkh pe thal inhisār kartā thā
vo phuul dekhne aatā thā baaġh meñ har roz
maiñ ḳhushbuoñ ko vasīla shumār kartā thā
huzūr aap to dil de ke chīḳhte haiñ bahut
maiñ ek shaḳhs pe jaañ tak nisār kartā thā
maiñ chāhtā thā ki vo boltā rahe maiñ sunūñ
magar vo kam-go baḌā iḳhtisār kartā thā
mirī zabāñ pe bharosa thā is liye sab ko
ki ek shaḳhs mirā e.atibār kartā thā
ḳhudā ke baad use mujh pe maan thā kyūñki
ḳhudā ke baad use maiñ hī pyaar kartā thā
kisī kī shakl utartī thī sher ban ke 'hasīb'
koī ḳhayāl mujhe sogvār kartā thā
tumhaara hijr use aabshaar karta tha
hamari aankh pe thal inhisar karta tha
wo phul dekhne aata tha bagh mein har roz
main KHushbuon ko wasila shumar karta tha
huzur aap to dil de ke chiKHte hain bahut
main ek shaKHs pe jaan tak nisar karta tha
main chahta tha ki wo bolta rahe main sunun
magar wo kam-go baDa iKHtisar karta tha
meri zaban pe bharosa tha is liye sab ko
ki ek shaKHs mera eatibar karta tha
KHuda ke baad use mujh pe man tha kyunki
KHuda ke baad use main hi pyar karta tha
kisi ki shakl utarti thi sher ban ke 'hasib'
koi KHayal mujhe sogwar karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.