tumhaara istiara aankh mein hai
tumhārā isti.āra aañkh meñ hai
jahāñ saare kā saarā aañkh meñ hai
jahāñ do dil mohabbat se mile the
vo manzar vo nazāra aañkh meñ hai
nazar kī vus.atoñ se dil kī had tak
tumhārā har ishāra aañkh meñ hai
jahāñ mere sahāre chhin ga.e the
vo sahrā be-sahārā aañkh meñ hai
tumhāre vasl ke lamhe se ab tak
tumhārā qurb saarā aañkh meñ hai
mohabbat ke hasīñ ḳhvāboñ ke badle
ye kis ġham kā ishāra aañkh meñ hai
mire ashk-e-ravāñ ye kah rahe haiñ
ki mauj-e-be-kināra aañkh meñ hai
udāsī ke diye ham-rāh le kar
shab-e-furqat kā taara aañkh meñ hai
jo vo ḳhāmosh ho to aañkh bole
suḳhan saare kā saarā aañkh meñ hai
jahāñ par tum bichhaḌ kar mil na paa.e
vo shām-e-be-nazāra aañkh meñ hai
tū merā jism hai jaañ hai tū merī
talab kā goshvārā aañkh meñ hai
tumhaara istiara aankh mein hai
jahan sare ka sara aankh mein hai
jahan do dil mohabbat se mile the
wo manzar wo nazara aankh mein hai
nazar ki wusaton se dil ki had tak
tumhaara har ishaara aankh mein hai
jahan mere sahaare chhin gae the
wo sahra be-sahaara aankh mein hai
tumhaare wasl ke lamhe se ab tak
tumhaara qurb sara aankh mein hai
mohabbat ke hasin KHwabon ke badle
ye kis gham ka ishaara aankh mein hai
mere ashk-e-rawan ye kah rahe hain
ki mauj-e-be-kinara aankh mein hai
udasi ke diye ham-rah le kar
shab-e-furqat ka tara aankh mein hai
jo wo KHamosh ho to aankh bole
suKHan sare ka sara aankh mein hai
jahan par tum bichhaD kar mil na pae
wo sham-e-be-nazara aankh mein hai
tu mera jism hai jaan hai tu meri
talab ka goshwara aankh mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.