tumhaara jo sahaara ho gaya hai
tumhārā jo sahārā ho gayā hai
bhañvar bhī ab kinārā ho gayā hai
mohabbat meñ bhalā kyā aur hotā
mirā ye dil tumhārā ho gayā hai
tumhārī yaad se hai vo charāġhāñ
kī aañsū bhī sitārā ho gayā hai
ajab hai mausan-e-be-iḳhtiyārī
kī jab se vo hamārā ho gayā
ik an-jānī ḳhushī ke āsare meñ
hameñ har ġham gavārā ho gayā hai
hameñ kab raas aa saktī thī duniyā
ġhanīmat hai guzārā ho gayā hai
jinheñ rahtā thā zo'm-e-dil-faroshī
unheñ ab ke ḳhasāra ho gayā hai
tumhaara jo sahaara ho gaya hai
bhanwar bhi ab kinara ho gaya hai
mohabbat mein bhala kya aur hota
mera ye dil tumhaara ho gaya hai
tumhaari yaad se hai wo charaghan
ki aansu bhi sitara ho gaya hai
ajab hai mausan-e-be-iKHtiyari
ki jab se wo hamara ho gaya
ek an-jaani KHushi ke aasare mein
hamein har gham gawara ho gaya hai
hamein kab ras aa sakti thi duniya
ghanimat hai guzara ho gaya hai
jinhen rahta tha zo'm-e-dil-faroshi
unhen ab ke KHasara ho gaya hai
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 59)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.