tumhaara zauq hi kaamil nahin hai
Interesting Fact
1955
tumhārā zauq hī kāmil nahīñ hai
vagarna koī shai mushkil nahīñ hai
sharār-e-ġham kā jo hāmil nahīñ hai
vo dil sab kuchh to hai par dil nahīñ hai
jahān-e-rañg-o-bū par miTne vaalo
ye duniyā mauj hai sāhil nahīñ hai
baḌhe jin ke qadam rāh-e-junūñ meñ
phir un kī koī bhī manzil nahīñ hai
nashāt-añgez naġhme kyā sunā.eñ
tabī.at is taraf maa.il nahīñ hai
tumhaara zauq hi kaamil nahin hai
wagarna koi shai mushkil nahin hai
sharar-e-gham ka jo hamil nahin hai
wo dil sab kuchh to hai par dil nahin hai
jahan-e-rang-o-bu par miTne walo
ye duniya mauj hai sahil nahin hai
baDhe jin ke qadam rah-e-junun mein
phir un ki koi bhi manzil nahin hai
nashat-angez naghme kya sunaen
tabiat is taraf mail nahin hai
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 116)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.