tumhaare aane ka pesh-KHema bana karega
tumhāre aane kā pesh-ḳhema banā karegā
ye phuul aksar isī bahāne khilā karegā
phir us kī zid meñ ḳhudā bhī batlāo kyā karegā
jo ism-e-āzam se ishq kī ibtidā karegā
maiñ sidrat-ul-muntahā pe aa ke rukī huī huuñ
ab aage jo bhī karegā merā ḳhudā karegā
ye log ḳhud ko sitam-rasīda samajh rahe haiñ
vo ghaav dikhlā ke zaḳhm kī ab davā karegā
adā karūñgī maiñ tere matlab kā dhan nujūmī
tū mere matlab kā kal mujhe phir atā karegā
usī ko logo munāfiqoñ meñ shumār karnā
jo merī mayyat pe bain be-intihā karegā
shikasta-dil DhūñD phir mohabbat kar us se noshī
jafā kā maarā zarūr tujh se vafā karegā
tumhaare aane ka pesh-KHema bana karega
ye phul aksar isi bahane khila karega
phir us ki zid mein KHuda bhi batlao kya karega
jo ism-e-azam se ishq ki ibtida karega
main sidrat-ul-muntaha pe aa ke ruki hui hun
ab aage jo bhi karega mera KHuda karega
ye log KHud ko sitam-rasida samajh rahe hain
wo ghaw dikhla ke zaKHm ki ab dawa karega
ada karungi main tere matlab ka dhan nujumi
tu mere matlab ka kal mujhe phir ata karega
usi ko logo munafiqon mein shumar karna
jo meri mayyat pe bain be-intiha karega
shikasta-dil DhunD phir mohabbat kar us se noshi
jafa ka mara zarur tujh se wafa karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.