tumhaare aastan tak aa gae hain
tumhāre āstāñ tak aa ga.e haiñ
zamīñ se āsmāñ tak aa ga.e haiñ
jinhoñ ne phūñk Daalā hai chaman ko
vo sho.ale āshiyāñ tak aa ga.e haiñ
ḳhudāyā ḳhair mere gulsitāñ kī
ki ab naġhme fuġhāñ tak aa ga.e haiñ
na pūchho marhaloñ se kaise guzre
ye dekho ham kahāñ tak aa ga.e haiñ
jinheñ ḳhud DhūñDhtī thī un kī manzil
vo gard-e-kārvāñ tak aa ga.e haiñ
na honā chāhiye thā jin kā iz.hār
vo shikve ab zabāñ tak aa ga.e haiñ
mirī barbādiyoñ ke tazkire bhī
tumhārī dāstāñ tak aa ga.e haiñ
ḳhudāyā ḳhair ho ab un ke jalve
nazar ke imtihāñ tak aa ga.e haiñ
jafā ke silsile bhī hote hote
mirī tāb-o-tavāñ tak aa ga.e haiñ
ma.āz-allāh daur-e-be-yaqīnī
yaqīñ vaale gumāñ tak aa ga.e haiñ
salām ai gardish-e-daurāñ ki ham to
dar-e-pīr-e-muġhāñ tak aa ga.e haiñ
tumhaare aastan tak aa gae hain
zamin se aasman tak aa gae hain
jinhon ne phunk Dala hai chaman ko
wo shoale aashiyan tak aa gae hain
KHudaya KHair mere gulsitan ki
ki ab naghme fughan tak aa gae hain
na puchho marhalon se kaise guzre
ye dekho hum kahan tak aa gae hain
jinhen KHud DhunDhti thi un ki manzil
wo gard-e-karwan tak aa gae hain
na hona chahiye tha jin ka izhaar
wo shikwe ab zaban tak aa gae hain
meri barbaadiyon ke tazkire bhi
tumhaari dastan tak aa gae hain
KHudaya KHair ho ab un ke jalwe
nazar ke imtihan tak aa gae hain
jafa ke silsile bhi hote hote
meri tab-o-tawan tak aa gae hain
maaz-allah daur-e-be-yaqini
yaqin wale guman tak aa gae hain
salam ai gardish-e-dauran ki hum to
dar-e-pir-e-mughan tak aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.