tumhaare baad bhi ye taur iKHtiyar kiya
tumhāre baa'd bhī ye taur iḳhtiyār kiyā
vafā ḳhulūs-o-mohabbat pe e'tibār kiyā
hamāre naam se jalte the chand dīvāne
hamāre naam kī shohrat ne āshkār kiyā
maiñ jāntā thā ki maazī meñ shor barpā hai
kuchh is liye bhī sadāoñ ko darkinār kiyā
ham aise baḳht ke maare ki shahr meñ aa kar
libās-e-gardish-e-daurāñ bhī tār-tār kiyā
ye kis umiid pe dāman kī dhajjiyāñ karke
tamām 'umr rafūgar kā intizār kiyā
jahān-e-shauq ne mahdūd kar diyā thā magar
dayār-e-she’r ne vus'at se ham-kinār kiyā
tumhaare ba'd bhi ye taur iKHtiyar kiya
wafa KHulus-o-mohabbat pe e'tibar kiya
hamare nam se jalte the chand diwane
hamare nam ki shohrat ne aashkar kiya
main jaanta tha ki mazi mein shor barpa hai
kuchh is liye bhi sadaon ko darkinar kiya
hum aise baKHt ke mare ki shahr mein aa kar
libas-e-gardish-e-dauran bhi tar-tar kiya
ye kis umid pe daman ki dhajjiyan karke
tamam 'umr rafugar ka intizar kiya
jahan-e-shauq ne mahdud kar diya tha magar
dayar-e-she’r ne wus'at se ham-kinar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.