tumhaare baad jo bikhre to ku-ba-ku hue hum
tumhāre ba.ad jo bikhre to kū-ba-kū hue ham
phir is ke ba.ad kahīñ apne rū-ba-rū hue ham
tamām umr havā kī tarah guzārī hai
agar hue bhī kahīñ to kabhū kabhū hue ham
yuuñ gard-e-rāh bane ishq meñ simaT na sake
phir āsamān hue aur chār-sū hue ham
rahī hamesha darīda qabā-e-jism tamām
kabhī na dast-e-hunar-mand se rafū hue ham
ḳhud apne hone kā har ik nishāñ miTā Daalā
'shanās' phir kahīñ mauzū-e-guftugū hue ham
tumhaare baad jo bikhre to ku-ba-ku hue hum
phir is ke baad kahin apne ru-ba-ru hue hum
tamam umr hawa ki tarah guzari hai
agar hue bhi kahin to kabhu kabhu hue hum
yun gard-e-rah bane ishq mein simaT na sake
phir aasaman hue aur chaar-su hue hum
rahi hamesha darida qaba-e-jism tamam
kabhi na dast-e-hunar-mand se rafu hue hum
KHud apne hone ka har ek nishan miTa Dala
'shanas' phir kahin mauzu-e-guftugu hue hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.