tumhaare chehre ki jo chamak hai
tumhāre chehre kī jo chamak hai
ye saat rañgoñ kī ik dhanak hai
tumhārī chūḌī kī jaise chhan-chhan
tumhāre lahje meñ vo khanak hai
subuk-ravī jaise bahtā paanī
tumhāre chalne meñ vo lachak hai
ġhazāl sī haiñ ye tumhārī āñkheñ
hayā bhī jin meñ palak palak hai
jahāñ rakho tum qadam zamīñ vo
mire liye to hasīñ falak hai
agarche bāteñ tumhārī shīrīñ
zarā sā lafzoñ meñ bas namak hai
tumheñ mohabbat agar hai mujh se
qubūl karne meñ kyoñ jhijak hai
ravāñ-davāñ hai tumhārī jānib
mire irādoñ kī jo saḌak hai
ye kaifiyat hai jo donoñ jānib
ye sho.ala-e-ishq kī lapak hai
hai ishq ke naam se jo mārūf
ye tajraba apnā mushtarak hai
hai biich apne agarche duurī
magar ye duurī visāl tak hai
ġhazal mirī tum jo paḌh rahī ho
vo shiddat-e-hijr kī kasak hai
tumhaare chehre ki jo chamak hai
ye sat rangon ki ek dhanak hai
tumhaari chuDi ki jaise chhan-chhan
tumhaare lahje mein wo khanak hai
subuk-rawi jaise bahta pani
tumhaare chalne mein wo lachak hai
ghazal si hain ye tumhaari aankhen
haya bhi jin mein palak palak hai
jahan rakho tum qadam zamin wo
mere liye to hasin falak hai
agarche baaten tumhaari shirin
zara sa lafzon mein bas namak hai
tumhein mohabbat agar hai mujh se
qubul karne mein kyon jhijak hai
rawan-dawan hai tumhaari jaanib
mere iradon ki jo saDak hai
ye kaifiyat hai jo donon jaanib
ye shoala-e-ishq ki lapak hai
hai ishq ke nam se jo maruf
ye tajraba apna mushtarak hai
hai bich apne agarche duri
magar ye duri visal tak hai
ghazal meri tum jo paDh rahi ho
wo shiddat-e-hijr ki kasak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.