tumhaare dard ke jaisa nahin hai
tumhāre dard ke jaisā nahīñ hai
hamāre dard kā chehra nahīñ hai
agarche ishq sā mahñgā nahīñ hai
magar ye hijr bhī sastā nahīñ hai
hamārī aañkh se dekho to jaano
mutābiq ishq ke duniyā nahīñ hai
chalo ab DhūñDhā jaa.e phir nayā ġham
ki kāġhaz pe koī misra.a nahīñ hai
zarā nashtar chubhāo zor se phir
ye zaḳhm-e-dil abhī gahrā nahīñ hai
safā.ī maiñ kahāñ tak us ko detā
mirā ho kar bhī jo merā nahīñ hai
jabīñ ke nīche jo do sīpiyāñ haiñ
guhar in meñ abhī bantā nahīñ haiñ
mile to haiñ bahut mujh ko jahāñ meñ
magar koī mire jaisā nahīñ hai
tumhaare dard ke jaisa nahin hai
hamare dard ka chehra nahin hai
agarche ishq sa mahnga nahin hai
magar ye hijr bhi sasta nahin hai
hamari aankh se dekho to jaano
mutabiq ishq ke duniya nahin hai
chalo ab DhunDha jae phir naya gham
ki kaghaz pe koi misra nahin hai
zara nashtar chubhao zor se phir
ye zaKHm-e-dil abhi gahra nahin hai
safai main kahan tak us ko deta
mera ho kar bhi jo mera nahin hai
jabin ke niche jo do sipiyan hain
guhar in mein abhi banta nahin hain
mile to hain bahut mujh ko jahan mein
magar koi mere jaisa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.