Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare gham ne hamein is qadar sanbhaal diya

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

tumhaare gham ne hamein is qadar sanbhaal diya

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    tumhāre ġham ne hameñ is qadar sañbhāl diyā

    kisī ne kuchh bhī kahā ham ne hans ke Taal diyā

    mazāq-e-ishq mashiyyat ne hasb-e-hāl diyā

    mujhe nigāh atā tumheñ jamāl diyā

    jo aaj va.ada kiyā kal pe us ko Taal diyā

    yuuñ roz roz uljhan meñ dil ko Daal diyā

    tere jamāl ko dekhā to yuuñ lagā jaise

    majāz meñ haqīqat ne ḳhud ko Dhaal diyā

    jo aañkh se abhī Tapkā thā koī armāñ thā

    dil-e-ġharīb ne ghar se jise nikāl diyā

    na jaane kitne ġhamoñ ko masarrateñ baḳhshīñ

    jo ġham diyā mujhe ne vo lā-zavāl diyā

    ye kyā ki us ne mohabbat ke imtihāñ ke liye

    kisī se hal jo na ho mujh ko vo savāl diyā

    kisī yaad ne baḳhshīñ jo dhaḌkaneñ dil ko

    unhīñ ko sher ke qālib meñ maiñ ne Dhaal diyā

    'nazar' usī se na dād-e-suḳhan milī mujh ko

    mirī ġhazal ne jise husn-e-lā-zavāl diyā

    tumhaare gham ne hamein is qadar sanbhaal diya

    kisi ne kuchh bhi kaha hum ne hans ke Tal diya

    mazaq-e-ishq mashiyyat ne hasb-e-haal diya

    mujhe nigah ata ki tumhein jamal diya

    jo aaj wada kiya kal pe us ko Tal diya

    yun roz roz ki uljhan mein dil ko Dal diya

    tere jamal ko dekha to yun laga jaise

    majaz mein hi haqiqat ne KHud ko Dhaal diya

    jo aankh se abhi Tapka tha koi arman tha

    dil-e-gharib ne ghar se jise nikal diya

    na jaane kitne ghamon ko masarraten baKHshin

    jo gham diya mujhe tu ne wo la-zawal diya

    ye kya ki us ne mohabbat ke imtihan ke liye

    kisi se hal jo na ho mujh ko wo sawal diya

    kisi ki yaad ne baKHshin jo dhaDkanen dil ko

    unhin ko sher ke qalib mein main ne Dhaal diya

    'nazar' usi se na dad-e-suKHan mili mujh ko

    meri ghazal ne jise husn-e-la-zawal diya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now